yeh kiski dharti hay data;
wehshat ka samaan buhat hay;
haiwanon ka raaj main arzaan;
nahaq khoon ka zian buhat hay;
jhoota kia hay sacha kia hay;
uljha zehan budgumaan buhat hay;
ab tu sun lo ae data;warna woh din aaey ga;
ranj-o-alam k maron ko rasta mil na paey ga;
daata ki is nagri main phir ho ka aalam chaey ga;
Aatif Jamal (2010) from his book Gulha-e-Chawal
Advertisement